"सालिह": अवतरणों में अंतर

No edit summary
टैग: मोबाइल संपादन मोबाइल वेब संपादन
छो 2409:4042:2018:A32B:0:0:EB6:70AC (Talk) के संपादनों को हटाकर 1997kB के आखिरी अवतरण को पूर्ववत किया
टैग: वापस लिया
पंक्ति 3:
 
== कथा ==
QISSAH HAZRAT SALEH A.S | SALEH A.S KE QAUM PER AZAAB
7:52 PM
Hazrat Saleh a.s. ka zikar Quran mein 8 martaba aaya hai. Aap ka taluq qom Samood say tha aur ye Hazrat Hood a.s. ke sath bach janay wali qom Aad thi. Iss qom ka ilaqa Hijaaz aur Shaam k darmiyan hay. Qom Samood paharon ko kaat kar shandaar makanaat aur mehelaat bananay k mahir thay. Saleh a.s. nay apni qom say farmaya: "Tum uss waqt ko yaad karo, jab tum ko Aad k baad un ka khalifa banaya gaya, aur tum ko zameen per jaga di k tum uss per mehelaat banatay ho, aur pathar taraash kar paharon mein makaan banatay ho" (Araaf) Jub qom Saleh a.s. ki tableegh say tang aa gai to uss nay shart rakhi k Allah agar apni koi nishani dikhla day to hum eeman lay aein gay...Nishani ye ho k samnay paharon say aik haamla 'Oontni' zahir ho aur wo bucha day. "Naaqatullah (Allah ki oontni)" Phir aisa hi hua..Allah nay oontni bheji aur uss nay bucha b diya, magar Allah nay 2 sharait rakkhin..pehli ye k oontni aur uss ka bucha zameen per azad hoon gay jahan say chahein khaein..doosri ye k basti k pani k koonvein per aik din oontni ki baari hogi aur aik din qom ki. Saleh a.s.nay qom ko khabardaar kiya k oontni ko koi takleef na dena warna Allah k azaab say na bacho gay..Qom kuch arsa sakoon say rahi aur oontni ka doodh istamaal karti rahi...magar kuch arsay baad unhon nay oontni aur uskay buchay ko maar dala.Hazrat Saleh a.s. ko jab pata chala to aabdeeda ho gae aur farmaya: "Badbakht qom! Aakhir tujh say sabar na ho saka, ab Allah k azaab ka intizar kar, 3 din k bad, na talnay wala azaab aaye ga aur tum sub ko tabah kar jaaye ga. Aale Samood per azaab ki nishanian aglay din hi zahir hona shuru ho gaein.. Pehlay din un sub k chehray zard par gaye, jesay khauf say hon. Doosray din un k cheray surkh ho gae..Teesray din wo kalay ho gae. Usi raat aik aawaaz nay un ko halaak kar dala. Qurane Karim nay iss aawaaz ko kahein "Saiqa")karak daar bijli(, kahein "Radefa" )zalzaka dalne wali cheez(, kahein "Taaghiya")dehshat naak(aur kahein "Saeha" )cheekh( kaha hay. Saleh a.s. aur un k musalmaan sathion k ilawa puri qom tabah ho gai. Aap ne farmaya "Ay qom! Mein nay beshak apne Rub ka peghaam tum tak pohnchaya aur tum ko nasihat ki magar tum ko nasihat karney waley mehboob na they" )Aaraaf( Ye zaruri nae k her qom jo Allah ki na farmaan ho, halaak kar di jaaye, MAGAR jub koi qom Allah ki taraf say koi nishani ya mojza talab karay, aur usay ataa b ho jae, tou phir uss ki sarkashi per tabahi lazim hay. Ummat e Rasool saww ko azaab e aam say istasna hay, jis k liye Aap saww nay dua farmai aur Allah nay qubuliat ki mohar laga di......Quran kehta hai:- Ay Rasool jub tu in mein mojood ho gay Allah in )kafiron per( azaab nahin bheje ga{Anfaal}
 
== प्रथा ==saleh show relationship with indian Rajput community
 
 
== शोध ==
"https://hi.wikipedia.org/wiki/सालिह" से प्राप्त